Sab Sambhal Lete Hain Hum By Zakir Khan
Sab Sambhal Lete Hain hum,
Bhai Ki Ladai ho ya dost ke pachhde, girlfriend ka ex ho,
ya Uske ghar ke bahar nukkad par Khade Fukrey,
Sab Sambhal Lete Hain Hum…
Hatho’n ka plaster ho ya chhile hue ghutne,
Gire ho bike se ya,
Khade Ho teacher se pitne
ab behan to Vidai par ro legi, per hum Nahin Roege,
Chaar Din Ka road trip hai,
par wheel par Nahin soyenge,
Ek Chhota Sa Kissa Bhi Ho Jaaye toh use Bada Chada kar bataenge,
Par jab dil tootega na to use Apne doston ko bhi nahin bataenge,
Kyunki Sambhal Lete Hain Hum….
Daru Ki capacity se humari aukaat napi Jaati Hai,
per Sabko Ghar chhodane Ki jimmedari Bhi Hamare Sar hi Aati Hai,
Kisi film ki sad ending Ho,
ya best friend ka foreign jane ka farewell, soft Nahin Hote..
Pyar jatane wala Sab Kuchh kal,
Kyunki macho itne Hain,
par sensitive topic per thoda Gadbad Ho Jaate Hain,
yaar apan log to mummy ko hack karne mein bhi awkward Ho Jaate Hain,
Ghar Ki financial problem ho ya kisi ki tabiyat kharab ho,
papa ki social standing ho ya safety – security ka Sawal,
Sab Sambhal Lete Hain Hum….
Ham vah hai jo Footpath per Bahar ki taraf Chalte Hain,
Saya’n bante Hain Parivar ka per dhoop Mein Khud palte Hain,
Kabhi Hamari bhi mardangi ka Parda Hata kar dekhna,
Kabhi Thamna Hamara bhi Hath,
kaise ho tum? puchna..
Hamari bhi sakhat Shaklo Ke Piche Ek Masoom Sa Baccha Hai Ji ,
Jiski Khwahishe’n Ghar, gadi, Aasman Nahin Apnapan Saccha Hai Ji,
hume’n bhi dar lagta hai,
Akele andhere Kamre Mein Hum bhi nahin So sakte,
per Sach kahun, “Jhuthe Hain vah Log Jo Kahate Hai aadami Ro Nahin Sakte.”
Baki han Iske alava Sab Sambhal Lete Hain Hum….
Bhai Ki Ladai ho ya dost ke pachhde, girlfriend ka ex ho,
ya Uske ghar ke bahar nukar par Khade Fukrey,
Sab Sambhal Lete Hain Hum…
– Zakir Khan